Jaise Surya ki kirane sab par parti hain aise hi Parmaatma ki Prem ki kirane bhi sab par parti hain.
Param Pita Parmaatma sab tere balak hain, tau sab mere huye bhai bahen,
Sab tere hain tau sab mere bhi huye na, ab Tu hi mujhe sab se prem karna sikha.
Toone diye hain aise pyare Gurujan, aur hamein mila hai pyara Ram Naam,
Ab lagata tau aisa hai ki yeh Ram Naam hi mun ki safai karega tau hi prem basega iss mein.
Ram Ram Ji.
Advertisement