Jab hum iss sansar mein aaye tau hum kuch saath lekar nahin aaye thaey aur na hi kuch lekar jaayenge. Hum ne suna hai ki hamara kuch bhi nahin hai aur sab Parmatma ka hai. Phir bhi hum bahut vastuon ko aur jano ko apna maante hain. Yeh sab sansar ke rishte hain aur yaheen khatam ho jaayenge.
Ab hame karna kya hai. Sab se prem karna hai – prem purvak vyahar karna hai sab se. Aisa hi Maharajji (Open Satsang USA 2011Information ) ne kaha ki jo sab se prem karne lag jaata hai woh Parmaatma ka ho jaata hai, Parmaatma uska ho jaata hai – yeh hi hai Divya Prem (Divine Love).
Mere Ram mera kya hai – tere bina!
Advertisement